Ankhoo main khowab sajnay waloo
yeh soch ker saja laina apni ankhoo main khowab
k kholi ankhoo se khowab nahi dekhay jatay
aur jo khowab band ankhoo se dekhay jatay hain
un khowaboon ki ankhain nahi howa karti hai
ankhoo main khowab sajnay waloo
yeh soch ker saja laina apni ankhoo main khowab
k baz khowab takmeel panay se pahlay hi
toot ker kirchyan ban jatay hain
aur hum unhain is ass per jornay bath jatay hain k
aik na aik din yeh zaroor takmeel paien gay
magar jab humain yaqeen hota hai is baat ka
k humaray khowab kabhi poray nahi ho paien gay
humari arzoo o tamnaien pori nahi ho paien gi
tab waqat bohat agay nikal choka hota hai
aur humari zindagi ki adhi sadi beet gai hoti hai
hath hotay hain humaray khali aur
ankhain hoti hain nami se sarab
is lian ankhoo main khowab sajnay waloo
yeh soch ker saja laina apni ankhoo main khowa
aisa na ho k tum bikhray howay khowaboon ko
aik bar takmeel danay ki gharz se
dobara jornay ki tamana lya bathay ho
wo tumhari zindagi ki baqi sadi bhi na lay dobay
a
nkhoo main khowab sajnay waloo
yeh soch ker saja laina apni ankhoo main khowab
k kholi ankhoo se khowab nahi dakhay jatay
aur jo khowab band ankhoo se dekhay jatay hain
un khowaboo ki ankhain nahi howa karti hain
is lian ankhoon main khowab sajnay waloon
yeh soch ker saja laina apni ankhoon main khowab
mehwish afsar