khoud apnay liyai baith k sochain gay kisi din

khoud apnay liayi baith k sochain gay kisi din
youn hay k tujhay bhoul k daikhain gay kisi din

bhetkay houay phirtay hain kaie lefz jo dil main
dunia nay dia weqt to likhain gay kisi din

hil jayain gay ek baar to arshon k der-o-baam
yeh khaak nasheen loag jo bhoulain gay kisi din

aapes ki kisi baat ka milta hi nehi weqt
her baar yeh kehtay hain k baithain gay kisi din

ay jaan teri yaad k bainaam prinday
shakhon pay meray derd ki utrain gay kisi din

jatti hay kissi jheel ki gehraie kahan tuk
ankhon main teri doub k daikhain gay kisi din

soyain gay teri ankh ki khelwet main kisi raat
sayai main teri zulf k jayain gay kisi din

"Amjad"hay yehi ab k kafen bandh k ser say
us sheher-e-sitemger main jayain gay kisi din

bohat Khoob,… :k:

Re: khoud apnay liyai baith k sochain gay kisi din

[QUOTE]
*Originally posted by SunnyBoy: *
khoud apnay liayi baith k sochain gay kisi din
youn hay k tujhay bhoul k daikhain gay kisi din

Soch soch kar umaar ghay aap bhi…bas bhi karhein ab kitna sochein ghay…:nahnah:

Re: Re: khoud apnay liyai baith k sochain gay kisi din

heheheheh … Abhi Umer he Kia hai … Khala Jaaaan

Hanie Jeee : :slight_smile:

Re: Re: Re: khoud apnay liyai baith k sochain gay kisi din

[QUOTE]
*Originally posted by SunnyBoy: *

heheheheh ... Abhi Umer he Kia hai ... Khala Jaaaan

Haan haan abhi umer kaha hai ....abhi to aap bachein hai ....tubha pata nahin yeh Galatfehmi aap ki kab jahein ghee......

Re: Re: Re: Re: khoud apnay liyai baith k sochain gay kisi din

Maasi Jeee Ab Apni Umer kay hesaaab say mat Soocha Karo na …

Pata nai tuhada MaaasiaN da ki hoye ga … :smack:

Re: Re: Re: Re: Re: khoud apnay liyai baith k sochain gay kisi din

Jee jee beshack kehtein rehe humhein Maasi..lekin hum aap seh kam -az-kam 4 ya 5 saal chote hai …:nahnah:

Re: Re: Re: Re: Re: Re: khoud apnay liyai baith k sochain gay kisi din

Chalo yeh to maana kay 4 , 5 Saal Chotiho … Shukar hai yeh nahi keh diyah 10 , 12 Saaal Choti hoon Aur Abhi Feader main Dooodh peeti hoon :nahnah:

Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: khoud apnay liyai baith k sochain gay kisi din

he he kion nahin …main jab bhi kohi baat karti ho sehi aur sachi karti ho…aap ki tarha har waqt jhoot tordhe bolti ho…chalhe is tarha aap neh to maan liya na keh bardhe aap ki hai…UNCLE JEEEEEEEEEEE:)

good :k:

:k:
bhut khoob :slight_smile:

Very Nice by AIA:)