khoobsoorat morh par bicharnay ka hay apna maza
Koobsoorat wo, khoobsoorat main, aur khoobsoorat morh
…
(imagine…)
khoobsoorat morh par bicharnay ka hay apna maza
Koobsoorat wo, khoobsoorat main, aur khoobsoorat morh
…
(imagine…)
Re: -- Khoobsoorat Morh par ...
bohat aala Dada Abba ji huzoor, bohat umdaa... kia falsafa baka hay aap nay wah wah ... plz keep it more up, and high ... wah waah
Re: -- Khoobsoorat Morh par ...
wah wah
Re: -- Khoobsoorat Morh par ...
kia fair n lovely ki dukaan khol lee hay : P
Re: -- Khoobsoorat Morh par ...
kiyaa khoob soorati saY bichRay ho miyaaN kamaaL ho gayaa
jawaaban sahir ludhyaanvi kaY alfaaz maiN arz hai:
Ta'aruff rog ho ja'aY tau usska bhoolna behtar
Ta'alluq bojh bun ja'aY tau usska toRna acha
Woh afsaana jissay anjaam tak laana na ho mumkin
Ussay aik khoobsoorat moR day kar choRna acha
Challo aik baar phir say ajnabi bun ja'aiN hum dono :-)
Re: – Khoobsoorat Morh par …
![]()
sorry couldnt help it ![]()
Re: – Khoobsoorat Morh par …
aji choriay, hamain kahan zaroorat fair n lovely ki ![]()
fair bhi hain, lovel bhi hain, ham nai kehtay dunnia kehti hay ![]()
sachii muchii …
daikho bicharna to sab ko hota hay, q na aisay bichra jai, k dunnia yaad karay …
waisay bari piaari ghazal hay, poori post karo, I like it …
Dafa door, itnay roman-vi tay falsafiyaana thread ka baira qaraq kardia, :s
arrey yar EMM ko poetry ka VISA kiss nay dia hoonh
aap apnay 25 post k liay kaam kar rahay hay na ? :s
Re: – Khoobsoorat Morh par …
ji shukriya shairi ke liyee ![]()
Re: -- Khoobsoorat Morh par ...
wah wah mujhe pata tha yeh bacha bohet bera shair bene ga...... mulk ka naam roshan kere gay :D
Re: -- Khoobsoorat Morh par ...
waisay bari piaari ghazal hay, poori post karo, I like it ...
:)
Chalo aik baar phir say ajnabi bun ja'aiN hum dono
Na maiN tum say koi umeed rakhooN dil nawaazi kee
Na tum meri taraf daikho ghalat andaaz nazroN say
Na meray dil kee dhaRkan laRkhaRa'ay meri baatoN saY
Na zaahir ho tumhaari kash-ma-kash ka raaz nazroN say
TumhaiN jo koi anjuman roktee hai paish qadmi say
MujhaY bhee log kehtay haiN kay yeh jalway para'aY haiN :)
Meray humraah bhee ruswa'eeyaN haiN meray maazi kee
Tumhaaray saath bhi guzree hu'ee raatoN kay sa'aY haiN
Ta'aruff rog ho ja'aY tau usska bhoolna behtar
Ta'alluq bojh bun ja'aY tau usska toRna acha
Woh afsaana jissay anjaam tak laana na ho mumkin
Ussay aik khoobsoorat moR day kar choRna acha
Challo aik baar phir say ajnabi bun ja'aiN hum dono :-)
Re: -- Khoobsoorat Morh par ...
nice sharing!
Re: – Khoobsoorat Morh par …
…apnay munh mian mithoo ![]()
…
Re: – Khoobsoorat Morh par …
aap bhi shukria ji shariko parhnay k liay ![]()
ahem… aap nay lehlay q nee bataya, main bohat pehlay hi apni shari k diay and laaltainain jala jala kar roshnion ka tofaan lay aata … ![]()
I know ![]()
Learn some manner and behave while replying to strangers …
Re: -- Khoobsoorat Morh par ...
:)
Chalo aik baar phir say ajnabi bun ja'aiN hum dono Na maiN tum say koi umeed rakhooN dil nawaazi kee Na tum meri taraf daikho ghalat andaaz nazroN say Na meray dil kee dhaRkan laRkhaRa'ay meri baatoN saY Na zaahir ho tumhaari kash-ma-kash ka raaz nazroN say TumhaiN jo koi anjuman roktee hai paish qadmi say MujhaY bhee log kehtay haiN kay yeh jalway para'aY haiN :) Meray humraah bhee ruswa'eeyaN haiN meray maazi kee Tumhaaray saath bhi guzree hu'ee raatoN kay sa'aY haiN Ta'aruff rog ho ja'aY tau usska bhoolna behtar Ta'alluq bojh bun ja'aY tau usska toRna acha Woh afsaana jissay anjaam tak laana na ho mumkin Ussay aik khoobsoorat moR day kar choRna acha Challo aik baar phir say ajnabi bun ja'aiN hum dono :-)
Anwaar, yeh complete ghazal hay ya alag alag hay? cuz first part to suna howa hay, but not the second part which is in bold ...
bohat piaari hay :-)
Re: -- Khoobsoorat Morh par ...
It's a complete poem by Saahir Ludhiyanvi