Khizan- rasida sa ek shehar tha
khizan- rasida sa main bhe shayed
mujhay bhe baharoun se nahi tha matlab
baharain bhe mujh se thi kuch gorezan
chahaar simt urtay pattay
k jaisay bikhray hoey eraday
hawaoun ka wo zoor jaisay
le jaen gain kahen ura k
k jaisay teri yaad mujhay uraey
le jaen wahan k jahan se
loutna mera ho mushkil
ye zard pattay mujhay sataen
main bikhra jata hon es hawa main
es zard pattoun ki saltanat ne
cheen liye gulaab saray
wo khawaab saray
k jinko le k main chala tha
wo kise k dil main
jaga pa lenay ka jo ghamand tha
main kitna magan tha
magar
es duniya k sard mousam ne
sard kar diya hai har us jazbay ko
jis ne garm kia tha laho ko
khizan- rasida sa ek shehar hai
khizan- rasida sa main bhe shayed.
Re: Khizan- rasida sa ek shehar tha......
**es duniya k sard mousam ne
sard kar diya hai har us jazbay ko
jis ne garm kia tha laho ko
Boht hi yakh basta shakhs hai... saib ke ooper namak chiRak ke khilao.. lagta hai blood pressure low hai
**
Re: Khizan- rasida sa ek shehar tha......
agar us sy kaam na banay to kia khilana gy........??
Re: Khizan- rasida sa ek shehar tha......
agar us sy kaam na banay to kia khilana gy........??
boil eggs main boht sa namak khilen aur do goli disprin.. meri doctory yahin khatm ho jati hai
Re: Khizan- rasida sa ek shehar tha......
waisy dosri wali goli k baary mein kia khayal hy.......?
Re: Khizan- rasida sa ek shehar tha…
blood pressure khatm karna hai, bunda nahin
Re: Khizan- rasida sa ek shehar tha......
Lykin bro pehly to blood pressure hi khatam hota hy na......
Re: Khizan- rasida sa ek shehar tha…
lekin phir bhi final output laate huwe bunda to jaan se jata hai na
Re: Khizan- rasida sa ek shehar tha......
ye soch ke ley aya hooN meiN jungle sey kuch jugnu
naa jaaney ab qismat meiN sehar hey ke nahi hey
Re: Khizan- rasida sa ek shehar tha......
ye soch ke ley aya hooN meiN jungle sey kuch jugnu naa jaaney ab qismat meiN sehar hey ke nahi hey
Generator khareed laate bhai