**Khizan- rasida sa ek shehar tha
khizan- rasida sa main bhe shayed
mujhay bhe baharoun se nahi tha matlab
baharain bhe mujh se thi kuch gorezan
chahaar simt urtay pattay
k jaisay bikhray hoey eraday
hawaoun ka wo zoor jaisay
le jaen gain kahen ura k
k jaisay teri yaad mujhay uraey
le jaen wahan k jahan se
loutna mera ho mushkil
ye zard pattay mujhay sataen
main bikhra jata hon es hawa main
es zard pattoun ki saltanat ne
cheen liye gulaab saray
wo khawaab saray
k jinko le k main chala tha
wo kise k dil main
jaga pa lenay ka jo ghamand tha
main kitna magan tha
MAGAR…
es duniya k sard mousam ne
sard kar diya hai har us jazbay ko
jis ne garm kia tha laho ko
khizan- rasida sa ek shehar hai
khizan- rasida sa main bhe shayed
**