~Khizaan k mousam mein~

Khizaan k mousam mein zard patton py fasl-e-gul ko salam likhna,
Kisi k anay ki khushi mein, ajab hy subho ko sham likhna,

Wafa k rastay k saray manzar he mohtaram hain khayal rakhna,
Jahan b meray qadam parein gy, usay muqaddas muqam likhna,

Main apni hasti k saray rangon mein munfarid b hun, moa’tbar b,
Kabhi agr mera nam likhna to ba-sad ehteram likhna,

Jo meri yadon k sang guzray, woh yaad ,lamhay shumar rakhna,
Jo kr dein tujh ko he mujh se ghafil, tamam lamhay haraam likhna,

Re: ~Khizaan k mousam mein~

khizan k patton per salam liken gy to awaz aai gi

CHURMURR KARAY

Re: ~Khizaan k mousam mein~

Khizaan k mousam mein zard patton py fasl-e-gul ko salam likhna,
Kisi k anay ki khushi mein, ajab hy subho ko sham likhna,

Baqol Bibi Umera Ahmed: Miyan din kahe to din, raat kahe to raat

Re: ~Khizaan k mousam mein~

jo imam boly :snooty:

Re: ~Khizaan k mousam mein~

Parmeshwar bhi to Imam hota hai

Re: ~Khizaan k mousam mein~

lagta hai yeh kisi peer sahb ka kalam hai