***~~ Khizaa'n ~~***by Bahar

Kihzaa’n ki raaj dhaani main gul e naayab jaisa tha
Jissay tum bhool baithay ho wahi tou khwaab jaisa tha

Kaheen par phool kaantoo’n ki tarah chubhtay thay pa’on main
Kaheen pat’thar sa rasta bhi humain kamkhwaab jaisa tha

Mraydushman kay lafzoo’n main bhi aisi kaatt kab hoti
Kah yeh lahja tou bilkul hee mairay ahbaab jaisa tha

Jo hota aasmaa’n par to na jaanay kaisa woh hota
Kah is ujrrii zamee’n par bhi woh ek mahtaab jaisa tha

Bahar is ko bura kahtay thay saray log mahfil main
Humain achcha nazar aaya dil e bay taab jaisa tha

~By Bahar unnisa bahar ~

Re: ~~ Khizaa'n ~~by Bahar

wah

Re: ***~~ Khizaa’n ~~***by Bahar

shukriyaah mohtaram :flower1:

Re: ~~ Khizaa'n ~~by Bahar

Wahh,,, BUhat khoob,,,


Mehroom e khuwab deeda e heran na tha kabhi
Tera yeh rang aye shabe hijran na tha kabhi

Re: ~~ Khizaa'n ~~by Bahar

Aahaa...
Kya kehne, kya baat hai bhaee.....:) **
**Good Khan Jee.....!

Re: ***~~ Khizaa’n ~~***by Bahar

:k:

Re: ~~ Khizaa'n ~~by Bahar

Thanks, very nice.

Re: ~~ Khizaa'n ~~by Bahar

Wah Ji Wah boht Khoob PK

Re: ***~~ Khizaa’n ~~***by Bahar

Thanx alot All of u … :flower1:

Re: ***~~ Khizaa’n ~~***by Bahar

bahot khoob…:k:

Re: ***~~ Khizaa’n ~~***by Bahar

^Thanx reet ji :flower1: