**Khirkeyoun ke sheeshoon per
Raingtay huwe qatray
Yun phisaltay hain jaise
Mere aur baadal ke
Darmeyaan koi hai jo
Mere aur baadal ke
Raaz ko samajhta hai
Jab ghattayain chaayain tau
Sirf woh nahe rotteen
Aankhain bhi barsati hain
Khirkeyaan bhi roti hain …**