**Kheyaal Rakhna
Kabhi Naa Haatho Se Haath Chooty
Kheyaal Rakhna
Kabhi Naa Chahat Ka Maan Tootay
Kheyaal Rakhna
Bacha Kar Rakhna Muhabbat Ko
Rahzanoo Se
Wafa Ki dolat Jafa Na Lutay
Kheyaal Rakhna
Jo Ho Muhabbat To ranjesho Se
Gureez Karna
Kisi Ka Nazuk Sa Dil Naa Totay
Kheyaal Rakhna…
**