Usse apni muraad ki fiqar thi,woh jo mera waqf-e-haal tha
Woh jo us ki subha urooj thi,wohi mera waqt-e-zawaal tha..
Mera dard kaise woh janta,meri baat kaise woh manta
Woh khod faana ke safar mai tha,use rokna bhi muhaal tha..
Kahan jao ge mujhe chorD kar,maiN ye poch poch kar thak gai
Woh jawab mujh ko na de saka,woh to khod sarapa-e-swaal tha..
Woh jo us ke samne aagaya,wohi roshni mai naha gaya
Ajab us ki hebaat-e-husaan thi,ajab us ka rang-e-jamal tha..
Daam-e-wapsi use kya hoa,na roshni na woh taazgi
Woh sitara kaise bikhar gaya,woh to khod aap apni misaal tha..
Woh mila to sadiyoN baad bhi,mere labb pe koi gila na tha
Use meri chup ne rula diya,jiski guftagu maiN kamaal tha..
Mere saath woh lagg ke rou diya,mujhe faqat itna woh keh saka
Jisse janta tha maiN zindagii,woh to sirf weham-o-khayal tha..!!!