my latest ghazal…
khayal-e-yar kuch iss tarha say aya ho ga
door talak ik chaman sa khil uthaa ho ga
ajab sarmasti main kaTi kal ki shaam
ussi mah-rukh ne nazar bhar kay mujhe daikha ho ga
waardaat-e-nazr-e-yaar ki karin kis say faryaad
qaazi-e-shehar bhi ussi ka hamnawa ho ga
mudat hoi tasawar-e-janaN say ibarat hain meri raateiN
kisi aik shab to uss nain bhi mujhe socha ho ga
aaj har koi mujh pay barastaa hai kyoN kar
phir mujh say kisi baat pay wo rootha ho ga
saf-e-maatam hai bichi fizaa main har soo
aansoo koi uss ki aankh say tapkaa ho ga
qadam reh-e-yaar pay uth rahy hain khud ba-khud
ho na ho uss nain mujh ko pukaara ho ga
hawaa main rachi ye khushboo si hai kaisi
koocha-e-yaar say iss ka guzar hova ho ga
chamka kuch tareeki-e-shab main manind-e-khursheed
pardaa rukh-e-yaar say uthaa ho ga
saNmbhalta jaai hai jee qadmoN ki chaap par
aa raha iss tarf mera maseeha ho ga
sub talab garooN ko choR kar nigaah-e-intekhaab hai mujh par thehri
kuch na kuch to tum ko nazar aya ho ga
hosh ki tawaqqo kary koi hum say to kyon kary?
kaya hosh mand bhi koi aashiq kahin guzraa ho ga?
teri nighaa-e-ulfat kar daiti hai usay moatbar warna
kaya zamaany main koi ghalib sa bhi ruswaa ho ga?