khayal-e yaar judaa ho gaya hai aaj hum sey
yeh kaisa jurm khataa ho gaya hai aaj hum sey
fizaa udaas hai veeraan hai shaam-e maikhana
na jaane kaun khafaa ho gaya ha aaj hum sey
badal gaya hai zamaana jo aap badle hain
har ek shakhs buraa ho gaya hai aaj hum sey
lein aap tor lein is dil ko hum yeh samjhein-ge
key aik qarz adaa ho gaya hai aaj hum sey
hameen se kam-sukhanee ki shikayat-e rangeen
unhein yeh kaisa gilaa ho gaya hai aaj hum sey
koi sune na sune ab yeh haal-e dil apnaa
bayaan ghazal ki tarah ho gaya hai aaj hum sey
yaar ka khayal joda hogeya ;) ye kub hoa ,yaar ney aesa hoganey per kuch na keya ;)
zabar10 lamhay app ka jewab nahen
eid mobarak ho ache guzare hoge eid app ki aur bake sab ke
[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *

[/QUOTE]
[QUOTE]
*Originally posted by Munir: *
yaar ka khayal joda hogeya ;) ye kub hoa ,yaar ney aesa hoganey per kuch na keya ;)
zabar10 lamhay app ka jewab nahen
eid mobarak ho ache guzare hoge eid app ki aur bake sab ke
Munir
[/QUOTE]
munir sahab uff aap bhi na !yaar ka khayal juda hogaya shayad aur shayad na bhi ,aur raha sawal yaar nay aisa honay dia ab ye tu yaar hi janay
aap ko bhi eid mubarak ho bahut bahut!