[[[ Khayaal-e-kaabaa-o-taiba main kis tarah bhuloon ]]]

**Khayaal-e-kaabaa-o-taiba main kis tarah bhuloon
ye zindagi ka sahara main kis tarah bhuloon

gunahgaaron se aha’kaaron kam nasib sahi
ghulam hoon dar-e-aakaa main kis tarah bhuloon

bahaar-e-subah-e-haram kyun na mujhe yaad aayen
sawaad-e-shaam-e-madinaa main kis tarah bhuloon

mazey uthaaye hain izhaar-e-dard-e-dil ke jahaan
wo ashk-o-aah ki duniya main kis tarah bhuloon

hazaar bekhudi-e-shauq hon magar ‘taskeen’
khud apne dil ka fasanaa main kis tarah bhuloon**

~~~ Taskeen Qureshi ~~~

Re: Khayaal-e-kaabaa-o-taiba main kis tarah bhuloon ]]]

ALI bhai both achi hey really subhanALLAH

Re: Khayaal-e-kaabaa-o-taiba main kis tarah bhuloon ]]]

Beautiful.. Allah Taa'la Aap Ko Ajrr Ata Farmaye.. Aameen..

Re: Khayaal-e-kaabaa-o-taiba main kis tarah bhuloon ]]]

nice one :)

Re: Khayaal-e-kaabaa-o-taiba main kis tarah bhuloon ]]]

*Jazak'Allah ppl *:)