*-*- Khawb toot jatay hain -*-*

Khawb toot jatay hain


khawb toot jatay hain
bheer main zamany ki
haath chout jatay hain
doost dar lehjoun main salwatain se partee hain
ek zara si ranjish say
shak ki zard tehnee par phool badgoumani kay
es tarah say khiltay hain
zindagi say piaray bhi
ajnabi say lagtay hain, ghair ban kay miltay hain
umr bhar ki chahat ko aasraa naheen milta
dasht-e-bay-yaqeenay main rasta nahee milta
khamoushi kay waqfoon main
baat toot jaati hay aur sira naheen milta
ma’azrat kay lafzoon ko roshni naheen miltee
lazat-e-pazeerie phir kabhi naheen miltee
phool raang wadoon ki
manzilain sukartee hain
rah mournay lagtee hay
bay rukhee kay gaaray say, bay dilee ki mitee say
faaslay ki eentoun say eent journay lagtee hay
khaak ournay lagtee hay
khawb toot jatay hain
wahamoun kay saaee
umr bhar ki mehnat ko
pal main loot jaatain hain
ek zara si ranjish say
saath choot jatay hain
bheer main zamanay ki
khawb toot jatay hain


Wah.... Very true ...
Thanks for sharing..

i :love: ghazals or nazam about khwab:k::k::k:
thanks for sharing:flower1:

Bohat khoob :)

**
Khuwaab kee tarah bikhar jaane ko jee chahataa hai
Aisee tanhaai keh mur jaane ko jee chahataa hai :slight_smile:
**

well..achhi hai. :)
whose the poet??

bhut khoob :k:

:slight_smile:

:k:

Zabardast:k::k::k:

bohat khoob:k:

Buhat khoob :k:

wah wah:k::k:
thanks again:~)