Kiyoon nahin aai woh? Kiya baat hui hay aakhir?
Khud iss baat par so baar woh uljha ho gaa
Kal woh aaiey gee tu mein uss se nahin boloon gaa
Aap hi aap kai baar who rootha ho gaa
Woh nahin hay tu bulandi ka safar kitna kathin
Seerhiyaan charhtey huey uss ne socha ho gaa
Rahdaari mein, harey lawn mein,phoolon ke qareeb
Uss ne har simt mujhey aan ke dhoondha ho gaa
Naam bhooley se jo mera kahin aya ho gaa
Ghair mehsoos tareeqey se woh chonka ho gaa
Aik jumley ko kai baar sunaya ho gaa
Baat kartey huey sau baar woh bhoola ho gaa
Yeh jo larki nai aai hai…kahin woh to nahin?
Uss ne har chehra yahi soch ke dekha ho gaa
Jaan-e-mehfil hai magar aaj faqat merey baghair
Hai kiss darja wohi bazm mein tanha ho gaa
Kabhi sannaton se wehshat jo hui ho gee ussey
Uss ne besakhta phir mujh ko pukaara ho gaa
Chaltey chaltey koi maanoos si aahat paakar
Doston ko bhi kissi uzr se roka ho gaa
Yaad kar ke mujhey num ho gai hon gee palkein
aankh mein par gaya kuch keh ke yeh tala ho gaa
aur ghabra ke kitaabon mein jo lee ho gee panah
har satr mein mera chehra ubher aya ho gaa
USS ne aik lamhey ko dekha mujhey aur phir hans dee
uss hansi mein to who talkhi thi ke uss se agey
kiya kaha uss ne..mujhey yaad nahin hai laiken,
itna maaloom hay “khawaboon ka bharam toot gaya”
mehfil jee if u don't mind i want to post the complete one:)
apnay bister pe bhut der se mai neem daraz
sochti thee kay wo is waqt kahan per hoga
main yahan hoon mager iss kocha o rang o boo
roz ki tarah say wo ajj bhi aya hoga
aur jab usne mujh ko na paya hoga-?!
app ko ilm hai,wo ajj nahin ayen hain?
meri her dost se usne yehi poocha hoga
kion nahin ayen wo kiya baat hui hai akhir
khud se is baat per soo baar uljha hoga
kal wo ayegi tou main us se nahin boloun ga
app hi app kaye baar wo rootha hoga
woh nahin hai tou bulandi ka safer kitna kathan hai
seeriyhan chartay huay usne ye socha hoga
rahdari main,haray lawn main,main phooloun ki kareeb
us ne her simt mujhe ann ki dhounda hoga
nam bholay se jou mera kahin aya hoga
gair mehsoos tariqay se wo chounka hoga
ik jumlay ko kaye baar sunaya hoga
baat kertay huay so baar wo bhoola hoga
jou larki naye aye hai,kahin wo tou nahin
uss ne her chehra yehi soch ki dekha hoga
jaan e mehfil hai,mager ajj, faqat meray bagair
haye kis derjay wohi bazam main tanha hoga
kabhi sanatoun se wahshat jou hui hogi use
usne besakhta phir mujhe ko pukara hoga
chaltay chaltay koi maanoos se ahat paa ker
dostou ko bhi kise gadar se roka hoga
yad kerkay mujhe,num hogye hongi palken
ankh main per gaya kuch keh ki ye tala hoga
aur ghabra ker kitaboun main jou li hogi panah
her sater main mera chehra ubhar aya hoga
jab mili hogi use meri alalat ki khber
us ne ahista se deewar ko thama hoga
soch ker ye,bahel jaye pershanye dil
yun hi bewaja,kise shaks ko roka hoga!
itifaqan mujhe us sham meri dost mili
main ne poocha ki sunou ?aye thay wo?
mujh ko poocha tha?mujhe dhounda tha charoon janib?
us ne ik lamhay ko dekha mujhe aur phir has de
us hase main tou wo talkhi thi ki us se agye
kiya kaha usne_usne mujhe yad nahin
itna maloom hai,khuaboun ka bharam toot gaya!