Khawabon Ka Ek Jazeera Ho
Jugnu’on ka jahan Basera ho
Koi wahan tak ja na sake
Aana jana sirf Tera Mera ho
Batein hon Sargoshyan hon
Muskrata Tera Chand chera ho
Zulfon se Teri mai Khela karoon
Teri Palkon ka Mujh pe Pehra ho
Jheel kinare Jugnu hon Mehwe-Raqs
Dhalti Shaam ka Surmai sa Andhera ho
Chand Sitare Istiqbal kiya karein
Us Nagar jab bhi Hamara Phera ho
Na Khatam hone wali hon Baatein
Aisi Raat ka kabhi na Sawera ho
Meri Nazrein kiya karein Parastish
Aur Tawaf ke liye Husn tera ho
Aisi ho Dunya jahan sab ek se hon
Na ho koi Chota, na koi bara ho
Re: khawabon ka ek jazeera ho
nice sharing :k:
Re: khawabon ka ek jazeera ho
Aaisa hota kahan hai :( khwaabon k jazeeray :(
Loog Jee Laitay Hain Khwabon k Saharay Kaisay
Apni Aankhon Mein To Ab Khwab Utartay He Nahi
cuTe NicE n SIMple sharing Ts jEe khush rahiye Amin !
Re: khawabon ka ek jazeera ho
beautiful!
SJ
5
Re: khawabon ka ek jazeera ho
very nice !!!!!!
:)
Re: khawabon ka ek jazeera ho
Aisi ho Dunya jahan sab ek se hon
Na ho koi Chota, na koi bara ho
Mushkil hai!
Nice poem:k:
fara
7
Re: khawabon ka ek jazeera ho
Buhat achay! Kahin aisa hu he na jayee...
Re: khawabon ka ek jazeera ho
^Lagta tou naheen hay lakin ho bhi sakta hay :p
nice :~)