Khawab kii tarah bikhar jaane ko jii chahata hai

Khvaab kii tarah bikhar jaane ko jii chaahataa hai

Khvaab kii tarah bikhar jaane ko jii chaahataa hai
aisii tanhaaii ki mar jaane ko jii chaahataa hai

ghar kii vahashat se larazataa huuN magar jaane kyon
shaam hotii hai to ghar jaane ko jii chaahataa hai

Duub jaauuN to koii mauj nishaaN tak na bataaye
aisii nadii mein utar jaane ko jii chaahataa hai

kabhii mil jaaye to raste kii thakan jaag pa.De
aisii manzil se guzar jaane ko jii chaahataa hai

vahii paimaaN jo kabhii jiii ko Khush aayaa thaa bahut
usii paimaaN se mukar jaane ko jii chaahataa hai

Nice :k:

Re: Khawab kii tarah bikhar jaane ko jii chahata hai

nice :k: thanx for sharing

kabhii mil jaaye to raste kii thakan jaag pa.De

Wah ...

:k: