Khawab dar khawab teray gham ko paroya kaisa

Dil munafiq tha shab-e-hijar main soya kaisa Aur jab tuj say mila toot kay roya kaisa

Zindagi maiN bhi ghazal hi ka kareena rakha
Khawab dar khawab teray gham ko paroya kaisa

Ab toH chehrun pay bhi katbuo’n ka ghuman hota hai
AankhaiN pathraey hoi haiN lab-e-goya kaisa

Dekh ab qurb ka mousam bhi na sar sabz laghay
Hijar hi hijar marasim main samoya kaisa

Aik aansoo tha kay dariya-e-nidamat tha FARAZ
Dil say baibaak shanawar ko daboya kaisa

Re: Khawab dar khawab teray gham ko paroya kaisa

Aik tou Faraz ki poetry upar se aap ki selection...Beautiful choice...shab..

beautiful Shab thanks 4 sharing :) ***

Re: Khawab dar khawab teray gham ko paroya kaisa

:chai:

Re: Khawab dar khawab teray gham ko paroya kaisa

very nice :k:

Re: Khawab dar khawab teray gham ko paroya kaisa

beautiful… v.nice. :k:

Re: Khawab dar khawab teray gham ko paroya kaisa

wonderful Shab very nice choice...