Khavab Nagar Hai Ankhain Kholey Daikh Raha Hun.....

Khavab Nagar Hai ankhain Kholey Daikh Raha Hun
Uss Ko Apni Janib Aata Daikh Raha Hun

Kis Key Aahat Qariya Qariya Phail Rahee Hai
Dewaroun Kay Rang Badaltay Daikh Raha Hun

Kaun Mairay Jadu Say Bach Kar Jaa Sakta Hai
Aaena Hun Sab Kay Chehray daikh Raha Hun

Darwazay Par Taiz Hawaoun Ka Pehra Hai
Ghar Kay Ander Chup Ka Saya Daikh Raha Hun

Jaisay Maira Chehra Mairay Dushman Ka Hu
Aaenay Main Khud Ko Aaisay Daikh Raha Hun

Manzar Manzar Veerani Nay Jaal Tanay Hain
Gulshan Gulshan Bikhray Pattay Daikh Raha Hun

Manzil Manzil Houl Main Doobi Awazain Hain
Rasta Rasta Khuf Ka Pehra Daikh Raha Hun

Shaher-e-Sangdil Main Amjad Her Rastay Par
Awazoun Kay Pathar Chaltay Daikh Raha Hun

Re: Khavab Nagar Hai Ankhain Kholey Daikh Raha Hun.....

nice sharing....

Re: Khavab Nagar Hai Ankhain Kholey Daikh Raha Hun…

Darwazay Par Taiz Hawaoun Ka Pehra Hai
Ghar Kay Ander Chup Ka Saya Daikh Raha Hun

Jaisay Maira Chehra Mairay Dushman Ka Hu
Aaenay Main Khud Ko Aaisay Daikh Raha Hun

Manzar Manzar Veerani Nay Jaal Tanay Hain
Gulshan Gulshan Bikhray Pattay Daikh Raha Hun

good one muddi jee :k:

Nice:k:


Thank u Abeeha:)

Thank u Sid bro:)

Thank u shab:)

Re: Khavab Nagar Hai Ankhain Kholey Daikh Raha Hun.....

wah g wah niceeeee

Re: Khavab Nagar Hai Ankhain Kholey Daikh Raha Hun…

its nice muddi g. :k:


Thank u Silent Eyes:)

Thank u abla_pa:)