Khat mujhay jub bhi likhnA to ro kar likhnA

*Khat mujhay jub bhi likhnA to ro kar likhnA Aur qalm khon-e-tamana main dabo kar likhna

Yo na likhna kay parha jaye na apna bhi likha
Shesha-e-dil ko zara ashkooN say dho kar likhnA

Pyar kay zakhmooN ki ek fasal to maiN kaat chuka
Zakhm do char naye soch main bo kar likhna

kasay likho gay gar mujH say muhbat na huwi
Tum khyalooN main meri jaan mera hokar likhnA

Faesla turk-e-taluk ka gar tuM nay kya
Khar kuch wadooN kay hathoon main chabho kar likhna

Re: Khat mujhay jub bhi likhnA to ro kar likhnA

I wanted to reply line by line this is so touchy and goes really deap in heart...

*Originally posted by chand_chehra: *

*Khat mujhay jub bhi likhnA to ro kar likhnA
Aur qalm khon-e-tamana main dabo kar likhna

Wonderful... kiya baat hia

Yo na likhna kay parha jaye na apna bhi likha
Shesha-e-dil ko zara ashkooN say dho kar likhnA

Ashkoon say dho kar likhna... beautiful

Pyar kay zakhmooN ki ek fasal to maiN kaat chuka
Zakhm do char naye soch main bo kar likhna

Abhi tu baas ak he fasal kata hai... har qadam par zindgi barbad hotee hai ya kaab maloom tha hum ko..

kasay likho gay gar mujH say muhbat na huwi
Tum khyalooN main meri jaan mera hokar likhnA

Khyaloon main meri jaan mera hokar likhna tub he likha sakoon gay

Faesla turk-e-taluk ka gar tuM nay kya
Khar kuch wadooN kay hathoon main chabho kar likhna

Tara he faesla tha... judai ka....

great thanks for sharing

Buhat Khoob:k:…
:flower1:

Superb… :k:

Re: Khat mujhay jub bhi likhnA to ro kar likhnA

Zalim samaaj ne hamaare ungliyaN kaat de... :(


**
Hai aaj naam bhe likhne pe teray paabandee
inn ungliooN ne saNwary thee teray baal khabee
**

Re: Khat mujhay jub bhi likhnA to ro kar likhnA

[QUOTE]
*Originally posted by chand_chehra: *

*Khat mujhay jub bhi likhnA to ro kar likhnA
Aur qalm khon-e-tamana main dabo kar likhna

Yo na likhna kay parha jaye na apna bhi likha
Shesha-e-dil ko zara ashkooN say dho kar likhnA

Pyar kay zakhmooN ki ek fasal to maiN kaat chuka
Zakhm do char naye soch main bo kar likhna

kasay likho gay gar mujH say muhbat na huwi
Tum khyalooN main meri jaan mera hokar likhnA

Faesla turk-e-taluk ka gar tuM nay kya
Khar kuch wadooN kay hathoon main chabho kar likhna
[/QUOTE]

V nice like always..thanks 4 posting it..:)

Re: Khat mujhay jub bhi likhnA to ro kar likhnA

Tum itnee zalim-mizaaj kioon hotee ja rahee ho, haan? :smash:

thanko all :)

Re: Re: Khat mujhay jub bhi likhnA to ro kar likhnA

ye ghazal mainay nahi likhi :stuck_out_tongue:

Re: Re: Re: Khat mujhay jub bhi likhnA to ro kar likhnA

Na likhne se kiya hota hai? propagate to kee na!! :hoonh: