Khat hi kiu likhay jain ??

Fariha,
Nigareena..
Tum ne mujh ko likha hai,
Mere khat jala dejeay
Mujh ko fikar rehti hai,
App inhain ganwa dejeay
Ap ka koi sathi, dekh le to kya ho ga
Dekhiyea main kehti hoon, yea bhot bura ho ga..

Main bhi kuch kahon tum se..
Fariha,
Nigareena..

Ay banaziki meena,
Fitar khaiz nasreena,
Rashak-e-sarw-e-seemena..

Main tumhare har khat ko, loh-e-dill samajhta hoon
Loh-e-dill jala doon kya
Jo bhi satar hai in ki, kehkishan hai rishton ki..
Kehkishan lutta doon kya
Hai sawad-e-beenai in ka jo bhi nukkta hai
Main usay ganwa doon kya
Jo bhi harf hai in ka, nakash-e-jaan hai janana
Nakash-e-jaan mitta doon kya?

Mujh ko likh ke khat janam
Apnay dhayan main shayad..
Khawab, khawab jazbon ke
Khawab, khawab lamhon main

Youn hi be khayalana..
Jurm kar gai ho tum,

Aur khayal anay par
Unn se dar gai ho tum..

Jurm ke tasawur main, gay yea khay likhay tum ne,
Phir to meri ray main, jurm hi kiyea tum ne..
Jurm kiu kiyea jain

Khat hi kiu likhay jain.
-

Re: Khat hi kiu likhay jain ??

Bohat Khoob Gumrah..:k:

Re: Khat hi kiu likhay jain ??

Fariha,
*Nigareena..

***First one is Fariha (girl name) and 2nd name i think also girl name but how to pronounce it :konfused: **