Khat hamein aakhri likha hoga
Unko afsos to hua hoga
Jis tarah aapne hamein dekha
Yoon laga dil ne kuchh kaha hoga
Un ka sharma ke door ho jana
Chaand khirki se jhaankta hoga
Aaj ye jaam mein nasha kaisa
Us ne honton se chhoo liya hoga
Thaam lo eik hi FIDA daaman
dar bdar ghoomnei se kaya hoga