Khamoshi

:shikra: yeh itni khamoshi kyun hai kuch roz say?

kya ab jab tak hum bolnay ka kahein ge nahi to kya log ab guftugu bhi nahi karein ge?

:shikra: uff hum kitnay roob dar hain

Re: Khamoshi

hum guftugu nahi baat karain gay :smiley:
agar karni hai tou batain warna jain ghaans khanay :snooty:

Re: Khamoshi

:shikra: guftugu aur batein kuch ziada mukhtalif nahi hai mohtarma

to kya pasand farmaein ge aap? anar ka ras ya seib ka?

Re: Khamoshi

Pehlay kia yahan dhol bajtay hain?

Re: Khamoshi

jee bilkul baja kartay the

bas loug kuch youn gae keh rounakein bhi chalein gaeen lambi aah bharing

magar aap jo aa gae hain to shayed ab lout aaein:shikra:

Re: Khamoshi

allah kher hi kare
pata nai kyon itni khamoshi he

Re: Khamoshi

:aq: aap bolein ge to shoor hoga na

aap ke bolnay pe hum ne pabandi aayed ki thi:o

na apple ka na anar ka.. kuch aur milay ga ? :slight_smile:

:aq: kuch aur say aap ka kya murad hai

:shikra: hamaray mehal main mehmanoon ko sadah pani nahi pilaya jata

Re: Khamoshi

badshah salamt kitni dil mooh lene wali batein karte hain aap
sadke jaun eik nai soo soo saal jie app

Re: Khamoshi

:shikra: itnay lambay jene ke dua na dein ke marna bhi mushkil h jae hum par

array paani ki kon baat kar raha hai :smack:

matlab drinks main kuch aur milay ga :wink:

aap ka matlab jaam say hain:shikra:

hum nahi peetay waisay magar aap ke liye khaas mangwa bhejtay hain

KANEEZ!! ek jaam hazir kiya jae khaas mehmaan ke liye:hmmm:

UFF ALlah! :smack: hum nay jaam ka nahi poocha tha na :naraz:

Re: Khamoshi

Ya Allah aik zara si khamoshi pe itna shor?

Re: Khamoshi

zara si khamoshi nai he

aur badshah ap jese dil azez badshah ko to kabhi marna hi nai chaie...aise hi aapki hadian kamzoor hoke gal jaen..per aap maren mat
:D