Titliyon ke mosam main nochna ghulabon ka, reet is nagar ki hay aur jane kab say hay …
Daikh ker parindon ko bandhna nishanon ka, reet is nagar ki hay aur jane kab say hay ..
Tum abhi naye ho na isi liay parayshan ho, asmaan ki janib is tarha say mat daykho
Afatain jab aani hon totna sitaron ka, reet is nagar ki hay aur jany kab say hay
Shehr kay ye bashenday nafraton ko bo ker bhi, intazar kertay hain kay fasl ho muhabat ki
Bhool ker haqiqet ko dhondna sarabon ka, reet is nagar ki hay aur jany kab say hay
Khamoshi mera shewa guftagu huner us ka, mari baygunahi ko log kaysay manain gay
bat bat per jab ke mangna hawalon ka, reet is nagar ki hay aur jany keb say hay
ajnabi si rahon main ajnabi musafer say, apnay her taaluq ko daa’imi samj layna..
Aur jab bicher janna mangna duwaoon ka, reet is nagar ki hay aur jany keb say hay.