Khamosh SadaaeiN
khamosh kamrey main baithi
sun rahi hoon
kisi k dil meiN paiwast sadaeiN aesi…!
**jo kisi ki zaat sey baahar nikalney ko **
be-taab hoN…
dheemi dheemi siskiyaan
jo jism’o jaan meiN
andar hi andar
ghut rahii hoN…
be’khawab ankhoon sey ashk rawaan
jo kisii khawab ki tabeer sey pehlay
beh niklay hoN…
**sun sakti hoon tou bas **
aik gehra sannata
jo khud meiN
sadiyaan samaitey baitha hey…
door kaheen sey aati
qadmoN ki chaap
magar jaisey palat jaatii ho
rukhsat chahti ho…
wuh chahatoN ka mosam
jo waqt’e rukhsat
kisi sey udhaar manga thaa
lout jana chahtaa ho
dekh lo…
kisi ki dil’daar ankhoon meiN
wuh aakhri yaad ka pal
aik khamosh lamhay ki tarha
thehar geya ho jaisey…
lekin meiN ney jaana.!
sab kuch badal geya ho jaesy..!!
sab kuch badal geya ho jaese…!!!