enter10
1
Khamosh Palkhon Peh Dariya Ruka Hai Abhi
Tumhare Intezar Mein Ek Lamha Ruka Hai Abhi
Sadiyyun Ka Fasla To Tay Karliya Hum Ne
Sirf Do Qadmon Ka Safar Ruka Hai Abhi
Waqat Ke Safar Peh Rawan Ho Tum Ye Jaan Lo
Tumhare Piyar Ke Liye Ek Shakhs Ruka Hai Abhi
Ajao Ke Zindagi Tamam Na Ho Jaye Meri
Baray Emtehan Se Mout Ko Tala Hai Abhi
Sadain De De Ke Beawaz Na Ho Jaon Kahin Mein
Ajao Laut Ke Ek Jumla Meri Zubaan Peh Ruka Hai Abhi
Re: Khamosh Palkhon Peh Dariya Ruka Hai Abhi
Sadiyyun Ka Fasla To Tay Karliya Hum Ne
**Sirf Do Qadmon Ka Safar Ruka Hai Abhi
CNG khatam ho gai? ya aage dharna tha?
**
enter10
3
Re: Khamosh Palkhon Peh Dariya Ruka Hai Abhi
Shayad Dharna hoga…
Agar CNG khatam hoti to Dhakka laga kr ly hi jaaty…Chalay to kat hi ja`ay ga Safar aahista… aahista…
tarash
4
Re: Khamosh Palkhon Peh Dariya Ruka Hai Abhi
hathi guzar gya hai bus dum pansi hoe hai
enter10
5
Re: Khamosh Palkhon Peh Dariya Ruka Hai Abhi
…Maslay ka zikr na kryn
Koi hal bhi paish kryn…?
Nain
6
Re: Khamosh Palkhon Peh Dariya Ruka Hai Abhi
Ye kisi misaal hai 
ehsan
7
Re: Khamosh Palkhon Peh Dariya Ruka Hai Abhi
Nice. :k: