Khamosh ho kyun, daad-e-wafa kyun nahi detay
Bismil ho to kaatil ko duwa kyun nahi detay
Vahaashat ka sabab ruuzan-e-zindaan to nahi hai
Mahar-o-maah-o-Anjum ko bujha kyun nahi detay
Ik ye bhi to andaaz-e-ilaaj-e-gham-e-jaan hai
Ay chaaragaaro dard barha kyun nahi detay
Munsif ho agar tum to kub insaaf karoge
Mujrim hai agar hum to sazza kyun nahi dete
Rahazan ho to haazir hai mataa-e-dil-o-jaan bhi
Rahabar ho to manzil ka pataa kyuun nahi dete
Kya beet gai ab ke Faraz ahal-e-chaman par
Yaaran-e-qafas mujhko sada kyun nahi dete
by: Ahmad Faraz
Re: Khamosh ho kyun....
[QUOTE]
*Originally posted by Gemini the Great: *
Khamosh ho kyun, daad-e-wafa kyun nahi detay
Bismil ho to kaatil ko duwa kyun nahi detay
by: Ahmad Faraz
[/QUOTE]
Jee lijiay khamoshi tor dee, aur daad bhi detay aapko.... Wah Wah... Bohat Khoob
Re: Khamosh ho kyun…
very nice :k:
keep em coming 
nikii
8
bhut khoob :k:
thxs 4 sharing 
welcome back GTG
… aatey hi dil khush kar diya :k: … is ghazal ka 3rd shair kochh din pehley main post kartey kartey reh gayi .. thanks for sharing 
Ik ye bhi to andaaz-e-ilaaj-e-gham-e-jaan hai
Ay chaaragaaro dard barha kyun nahi detay
Legacy
10
Re: Khamosh ho kyun…
Har ek misra lajawab. I dont recall I have read this ghazal already but I also dont think I have missed any of his book. Thanks for sharing :k:
bas theek hai, itni khas nahin.
Azad
13
:k: thanks for sharing GTG
Lamhay
16
bahut khoob!thanks 4 sharing!