kabhi aesa bhi hota hai
zuba’n kuch keh nahi pati
magar sari haqiqat
in aankhon say aaya’n hoti hai
isi lia shayad
is say jab sawaal kya
k muj say bichar ker
kya haal hai tumhara
to na chahatey hoa bhi
kuch na kehtay hoa bhi
aankhon say behtay
do moti
mujay duur kahein
baha lay ga’a
aankhon ki is narm zamee’n pay
aap hi aap ug jatay hain
jin ko Aanso kehtay hain