Khalil Khan aur uski Fakhta?

Who were they?

Any history / cultural saying behind it?

Re: Khalil Khan aur uski Fakhta?

@KKF :D

Re: Khalil Khan aur uski Fakhta?

I think he might know the history behind it. Lets see

Re: Khalil Khan aur uski Fakhta?

Khalil KhaN Nawaab Lucknow ke bigRe nawaab the [as if baaqii sab bigRe huye nahiiN the! :D] aur unkaa shauq patang-baazii, kabootar-baazii thaa. mausoof ko na jaane baiThe biThaaye Khayaal aayaa k vo kabootar kii jagah faaKhta uRaayeNge. har daf'a kabootaroN kii uRaan ke muqaabile meN haar jaate magar chuN k nawaab maaldaar huaa karte the is liye koii Gham na thaa...jab nawaabii kamzor huii to nawaab saab phir kabootaroN par aa gaye...

...kisii ne nawaab saaHab se ma'loom kiyaa k ab vo faaKhte kiuN nahiiN uRaate? farmaayaa, ab nawaaboN ke aHvaal Khastah-tar ho gaye haiN is liye:

"vo din gaye jab Khalil KhaaN FaaKhta uRaayaa karte the!" :(

ab yeh moHaavarah nikamme, bekaar aur waile logoN ke liye bolaa jaataa hai! :)

Re: Khalil Khan aur uski Fakhta?

matlab to theek bataya hai, but are you sure this Khalil Sahib belonged to Lucknow? which period BTW? After 1857? Umrao Jan ka daur?

Re: Khalil Khan aur uski Fakhta?


yeh to mujhe nahiiN pataa...bas aisaa maiN ne sunaa hai. wallaho aalam bissawaab.

Re: Khalil Khan aur uski Fakhta?

what I read, Khalil Khan was a sipah salar in Shah Jehan’s period and Shah Jahan had this habib of keeping his men’s mastooraat in eye (Mumtaz Mahal se to bus 17 bachon wala ishq tha). so this guy Khali Khan’s wife used to wear a jutti costing 30 laakh :eek: Shahjehan made an inquiry wherefrom he got all that wealth.

But this account doesn’t mention any thing about Faakhta :bummer:

BTW, Do you know Shahida Minni?

Re: Khalil Khan aur uski Fakhta?

oh achchhaa…well…may be :slight_smile:

yes…she is/was a Pakistani Singer?

Re: Khalil Khan aur uski Fakhta?

Nadia Khan show main wo ek dafa 50 hazar ki chappal pehn ke aai thi
@Microbian @hybridkamal @devilish_angel Do you people remember that?

Re: Khalil Khan aur uski Fakhta?

no I dont

Re: Khalil Khan aur uski Fakhta?

lol achchhaa…tab to unkaa rishta kisii na kisii taur Imelda Marcos se zaroor miltaa hogaa. :cb:

vaise, jab Pakistan meN shaadii kaa DupaTTa Rs. 1 lac kaa taiyaar hotaa hai to Rs 50,000 kii chappal par itnaa achambhaa kiuN? :hmmm:

Re: Khalil Khan aur uski Fakhta?

kiyunke that was just a simple peshaweri chappal in red. I haven’t seen that. My friend Babloo, told me about that

Re: Khalil Khan aur uski Fakhta?


ahaaa! Babloo sanDaleN hii dekhtaa rahtaa hai...kahiiN ek paR na jaaye kabhii! :D

Re: Khalil Khan aur uski Fakhta?

nahin. usne khud display ki aur bataya ke 50 hazar ki hai

Re: Khalil Khan aur uski Fakhta?

was there an ‘expensive-shoe-buying’ race among the celebs of the time? :hmmm:

monkeys see, monkeys do! :smiley:

Re: Khalil Khan aur uski Fakhta?

show-biz is all about show-bazi

Re: Khalil Khan aur uski Fakhta?

Showbaz kii show-baazii? :D

Re: Khalil Khan aur uski Fakhta?

itni sasti? :hmmm:

nahi me ny nahi dekha wo show

Re: Khalil Khan aur uski Fakhta?

nadia khan show aik do dafa hi dekha lol… aur shahida mini ko tv par dekhnaa neverrrr…

Re: Khalil Khan aur uski Fakhta?

2008 ki baat hai

kiyunke aap ko uss se kiya problem hai?