**
aadaab Koyal Ji,
ummeed hai k mizaaj baKahir hoNge ![]()
aapkaa intiKhaab nazar nawaab huaa aur bahaot pasand bhii aayaa. share karne ke liye shukria aapkaa.
ab waah ke saath kuchh aah bhii sun lijiye…lol
aapne likhaa lafz “munakkas” jo k dar asl hai “munaqqash” jo k lafz naqsh se banaa hai
last she’r “out of meter” hai. mere Khayaal se she’r ko kuchh yuN honaa chaahiye:
terii yaadoN ke sahaare HI haiN zinda, varna
jism meN aur mire dil meN bachaa kuchh bhii nahiiN
nazr-e-saanii kar lijiyegaa. navaazish
Allah Haafiz
_______Hashmat**