khali kaghaz mujhay aya hai likha kuch b nahi

mujh ko taqdeer k hathoN se mila kuch b nahi
aur taqdeer nay mujh ko dia kuch b nahi

hath thamo to sitaroon ko jhuka saktay hain
warna hathooN may lakeeroN k siwa kuch b nahi

iska matlab hai k majboor bohat hain wo b
khali kaghaz mujhay aya hai likha kuch b nahi

apnay har ashk may tum mujko munakkas kar k
ye samjhtay ho k dunya ko pata kuch b nahi

teri yadoon k saharay hain zinda warna
jeevaN may our is dil may bacha kuch b nahi
**
**
**
**
**
**
**

mujh ko taqdeer k hathoN se mila kuch b nahi
aur taqdeer nay mujh ko dia kuch b nahi

pitaai lagni chaheay taqdeer kee tu, itna zulm.

PS: Nice sharing. :k:

taqdeer nay mujh ko taqdeer ka mara bana dala… ghazal yaad agaye ye :slight_smile:

Nice sharing :k:

Re: khali kaghaz mujhay aya hai likha kuch b nahi

teri yadoon k saharay hain zinda warna
*jeevaN may our is dil may bacha kuch b nahi

zabardast jee
*

Beauful choice as always, how are you???????

Re: khali kaghaz mujhay aya hai likha kuch b nahi

very nice

Unparh say tanka laraya hoga jo kora kaghaz mila :)

Re: khali kaghaz mujhay aya hai likha kuch b nahi

very touchy

Re: khali kaghaz mujhay aya hai likha kuch b nahi

Nice sharing. :k:

Re: khali kaghaz mujhay aya hai likha kuch b nahi

gr8

**
aadaab Koyal Ji,

ummeed hai k mizaaj baKahir hoNge :)

aapkaa intiKhaab nazar nawaab huaa aur bahaot pasand bhii aayaa. share karne ke liye shukria aapkaa.

ab waah ke saath kuchh aah bhii sun lijiye...lol

aapne likhaa lafz "munakkas" jo k dar asl hai "munaqqash" jo k lafz naqsh se banaa hai

last she'r "out of meter" hai. mere Khayaal se she'r ko kuchh yuN honaa chaahiye:

terii yaadoN ke sahaare HI haiN zinda, varna
jism meN aur mire dil meN bachaa kuchh bhii nahiiN

nazr-e-saanii kar lijiyegaa. navaazish

Allah Haafiz
_______Hashmat**
<!--Session data-->

iska matlab hai k majboor bohat hain wo b
khali kaghaz mujhay aya hai likha kuch b nahi*

Maira Khaya Hay Miss Letter Aaya Ho Ga** **:hmmm:
*

Re: khali kaghaz mujhay aya hai likha kuch b nahi

teri yadoon k saharay hain zinda warna
jeevaN may our is dil may bacha kuch b nahi

Wah very nice.

Waisay khaali kagaz iss liye aaya hoga kay shayad usay likhna na aata ho. :D

Re: khali kaghaz mujhay aya hai likha kuch b nahi

lol ehsan

Re: khali kaghaz mujhay aya hai likha kuch b nahi

nice sharing...

Does it mean you are next Asif Ali Zardari????????

Re: khali kaghaz mujhay aya hai likha kuch b nahi

kia khoobsoorat kalaam hai...dil ko chhu lenay wali shayiri hai

Bohat khoob Koyal..:)

Thanks am fine and ap kahaN hotey :)

shukria :
likha ap ne kuch itna k
samj maiN aya kuch b nahi :p

likhna tu ata tha lakiN na likhnay waloon k leay rakh chora aur wo likh gaye :p
Thanks kesay haiN ap ehsan g :)