**khaali hath hon main ..
keh…
meri zard hatheli per
lakeero’n k siwah
taqder ki nawazisho’n k sabab
aur kuch baaqi nahi bacha…
mujhay in raasto’n pay chalna
acha nahi lagta
jin raasto’n pay chalte samay
tumharay saath chalnay ki khuwahish
meray andar tarpnay lagay …!**