Khailnay day inhain ishq ki baazi

Daikh hamaray mathay pe yeh dasht-e-talab ki dhool miyaan
Hum se ajab tera dard ka nata,daikh hmain mut bhool miyaan
Ahl-e-wafa se baat na karna ho ga tera usool miyaan
Hum kioun phairain in galyoon k phairoN ka ma’mool miyaan
Yunhi to nahi dasht main pohnchay,yunhi to nahi jog liya
Basti basti kantay daikhay jangal jangal phool miyaan
Yeh to kaho kabhi ishq kia ha?jag main hoye ho ruswa bhi
Is k siwa hum kuch na puuchain baqi baat fazool miyaan

Nasb karain mehraab-e-tamanna,deeda-o-dil ko farsh karain
Suntay hain wo kooe-wafa main aaj karain gay nazool miyaan

Sun to liya kisi naar ki khatir kata koh, nikali nehr
Ik zara say Qissay ko ab daitay ho kioun tool miyaan
Khailnay day inhain ishq ki baazi,khailain gay to seekhain gay
Qais ki ya Farhad ki khatir kholain kiya iskool miyaan?

Ab to hamain manzoor hai yeh bhi,shehr se niklain,ruswa hoN
Tujh ko daikha, baatain kar leen,mehnat hoi wasool miyaan

Insha jee kiya uzr hai tm ko, naqd-e-dil-o-jaan nazr karo
Roop nagar kay nakay per yeh lagta hai mehsool miyaan!!

Re: Khailnay day inhain ishq ki baazi

**Insha jee kiya uzr hai tm ko, naqd-e-dil-o-jaan nazr karo
Roop nagar kay nakay per yeh lagta hai mehsool miyaan!!

mehsool :cadet:
**

Re: Khailnay day inhain ishq ki baazi

Miyaan ... :p

Re: Khailnay day inhain ishq ki baazi

ye Miyan bivi wala miyan hai ke Miyan Nawaz Sharif wala miyan

Re: Khailnay day inhain ishq ki baazi

Miyan word ka origin kya hai ?
Ppl also use Allah miyan

Re: Khailnay day inhain ishq ki baazi

**Yeh to kaho kabhi ishq kia ha?jag main hoye ho ruswa bhi
Is k siwa hum kuch na puuchain baqi baat fazool miyaan

baqi bachta kya hai miyaan
**

Re: Khailnay day inhain ishq ki baazi

Saying Allah Miyan is in-correct ... ( that i read somewhere, i forgot the details)
Mujhey tou bus aik he miyan yaad hai :P

Re: Khailnay day inhain ishq ki baazi

Or baqi :p

Re: Khailnay day inhain ishq ki baazi

Mian is sometime used in term of malik (owner)
Owner of the wife = mian
Owner of the property or factory called mian by the workers
Also to give the impression that he is independent in his decisions ( the person bein called mian )

Yes i heard that too that we should not use it with Allah .

Mein ne tu yehi mian note kiye hain :sid:

Re: Khailnay day inhain ishq ki baazi

kyon sirf ye he aik baat hai kya :emmy:

I heard that too on the internet somewhere…GS or FB he hoga

ahan :hmmm: