--khadsha--

guzray lamhoo'n ki uljhi huwi door kayus taraf khwaab meray jahan dafan mati mai thay barishoo'n nay waha ghaas itni uga di koi rahnuma si ala'mat, nishani koi, kuch bacha hi nahi, kuch bacha hi nahi kay kisi yaad ki koi uljhi huwi ek gira'h kholtay! woh sira dhondtay! ek bhedoo'n bhara aur zamanoo'n mai phela huwa woh sira dhondtay jo kahi khwaab aur uski tabeer kay darmiyaa'n khogya! ho chukiee'n hain bohat hijar ki barishain din bohat jachukay! khwaab meray jaha dafan mati main hain ab waha har taraf ghas hi ghaas hai aur us ghaas mai sarsarata huwa saanp sa ek dar hai, kahi ye na ho! dhondtay dhondtay woh sira mil hi jaye! woh gira'h khul hi jaye! to lamhoo'n ki uljhi huwi door kay us tarf kuch na ho------------!!!"

:rolleyes:

Re: --khadsha--

ap likhlik keh green ho gyei :)

Re: --khadsha–

zabardust shab-e-hijar!..nice sharing!
…:k:

Re: --khadsha--

lajawaab

Re: --khadsha--

Very nice!:)

Re: --khadsha–

koi rahnuma si ala’mat, nishani koi, kuch bacha hi nahi,
kuch bacha hi nahi kay kisi yaad ki
koi uljhi huwi ek gira’h kholtay!
woh sira dhondtay!

:hinna:

Shaair kaa Ism-e-Giraami?

Re: --khadsha–

thanks guys :flower1:

Re: --khadsha–

aww ap ky aa’hain bhar rahay hain:confused:
aur shaair ka ism-e-grami hai apnay Amjad uncle :smiley:

Re: --khadsha--

superb; but i have some doubts
jahan bay-taabeer khwaab dafan hoon
sabza ugtaa kaisay ho gaa, koi bataey

Re: --khadsha--

Shib-e-Hijar...your avatar makes me sad :(

Very nice nazam.

Re: --khadsha--

good one...

Re: --khadsha--

Bohat dard-naak poem hey. Very deep. Thanx Shab-e-Hijar for sharing it with us.