Khabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi
Na to tu raha na to main raha, jo rahi so bekhabari rahi
shah-e-bekhudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahanagi
na khirad ke bakhiyagari rahi na junun ke pardadari rahi
chali simt-e-gaib se ik hawa k chaman Shaoor ka jal gaya
magar ek shakh-e-nihal-e-gham jise dil kahen so hari rahi
nazar-e-tagaful-e-yar ka gila kis zaban say bayaN karunN
k sharab-e-sad-qadah aarzoo khum-e-dil mein thi so bhari rahi
wo ajab ghari thi main jis ghari liya dars-e-nuskha-e-ishq ka
k kitab-e-aql ke taq mein jyun dhari thi tyun hi dhari rahi
tere josh-e-hairat-e-husn ka asar is qadar son yahan hua
k na aaine mein rahi jila na pari kun jalva-gari rahi
kiya khak aatish-e-ishq ne dil-e-benava-e-“siraj” kon
na khatar raha na hazar raha magar ek bekhatari rahi
Siraj Aurangabadi