Husband: Aaj khaaney mein kya banaya hai?
Biwi: Jo aap kahaein.
Husband: Waah. Aisa karein daal chaawal bana dein.
Biwi: Abhi kall to khaya thaa.
Husband: Tau sabzi roti bana dein.
Biwi: Bachey nahin khaatey
Husband: Tau choley aur poori bana do change ho jaaiga.
Biwi: Mujhey heavy heavy lagta hai.
Husband: Aaloo qeema banaa lo.
Biwi: Aaj mangal hai, gosht nahin millega
Husband: Paratha annda
Biwi: Subha yahi tau khaaya thaa
Husband: Chalo choro, hotel sey khaana ley aataa hoon
Biwi: Roz roz baahir, itni mahangaai mein?
Husband: Karhi Chaawal
Biwi: Iss waqt dahi kahaan millegi?
Husband: Pulao
Biwi: Iss mein time lagey ga
Husband: Pakorey hi bana lo, iss mein time nahin lagey ga
Biwi: Woh koi khaana hota hai?
Husband: Phir kyaa banao gi?
Biwi: Jo aap kahein
Re: Khaaney main kya banao gi?
hahahahahahahahhahahaahahaha
"if i was that husband i surely would have told her dont bother i will make my own food u make yours."
Re: Khaaney main kya banao gi?
:D
Re: Khaaney main kya banao gi?
:) Aapke joke padhkay humain bhook lag gayi hai
Re: Khaaney main kya banao gi?
hahaha…tit for tat…vaise, maiN uskaa miyaaN hotaa to kahtaa…begum, tum roz banaatii ho khaanaa, aaj maiN banaa detaa huN…aur jab vo kahtiiN k kia banaaoge to maiN kahtaa…jo aap kaheN and then turn the table on her lol ![]()
Re: Khaaney main kya banao gi?
:roftl:
Re: Khaaney main kya banao gi?
lol yeah that would have annoyed her. hahahaha
Re: Khaaney main kya banao gi?
lol yeah that would have annoyed her. hahahaha
achchhaa hai na...tirya charitra naach FREE kaa dekhne ko miltaa :D
Re: Khaaney main kya banao gi?
achchhaa hai na...tirya charitra naach FREE kaa dekhne ko miltaa :D
hahahahaha lol
Re: Khaaney main kya banao gi?
LOL ![]()
Re: Khaaney main kya banao gi?
Tum ney joke ke ooper eik aur shagoofa chor diya ![]()
Re: Khaaney main kya banao gi?
**hehehe…haN na…ab Khuda kaa shukr adaa kareN k bam [bomb] nahiiN chhoRaa ![]()
vaise, aapko pataa hai k “BAM POLICE” kise kahte haiN? ![]()
**
Re: Khaaney main kya banao gi?
bums and bombs ki baat naa hi ki jaaye to acha hai ![]()
Re: Khaaney main kya banao gi?
Dar lagtaa hai? hehehe…Dar to mujhe bhii lagtaa hai kiuN k jo bomb nahiiN phaTte vo ziyaada Khatarnaak hote haiN ![]()
Re: Khaaney main kya banao gi?
![]()
Re: Khaaney main kya banao gi?
:@: