KHaalii KHaalii rasto.n pe be-karaa.n udaasii hai
jism ke tamaashe me.n ruuh pyaasii pyaasii hai
KHvaab aur tamannaa kaa kyaa hisaab rakhnaa hai
KHvaahishe.n hai.n sadiyo.n kii umr to zaraa sii hai
raah o rasm rakhne ke baad ham ne jaanaa hai
vo jo aashnaa.ii thii vo to naa-shanaasii hai
ham kisii na.e din kaa intizaar karte hai.n
din puraane suuraj kaa shaam baasii baasii hai
dekh kar tumhe.n ko.ii kis tarah sambhal paa.e
sab havaas jaage hai.n aisii bad-havaasii hai
zaKHm ke chhupaane ko ham libaas laa.e the
shahr bhar kaa kahnaa hai ye to KHuu.n-libaasii hai