Khaab Kay Bojhal Manzar

kuch khaab kay
bojhal manzar they
jaagay to
kuch bhi paas na tha
behtar tha
ajnabi hotay hum log
yeh hona
hum ko raas na tha
kitna pani
aankhon say barsa
lekin …
dewaarein seenay ki
ab bhi
aksar hil jati hain
youn lagta hai
yeh kehti hain
tum andar jhaanko to
jaan sako …
aik cheenkh
abhi baqi hai ..

Re: Khaab Kay Bojhal Manzar

MAshallah… Very Nice.. Hina :flower1:

Welcome to GS :flower2:

Re: Khaab Kay Bojhal Manzar

nice 1:k:
.
.
.
.
n Wel Kum to GS

Re: Khaab Kay Bojhal Manzar

:k: