Lamhay
1
Bacha hi kya hai so hud se guzar key dekhtay hain
key toot kab ke chuke par ab bikhar key dekhtay hain
suna hai jo bhi gaya us ko mil gayii manzil
so uski raah se hum bhi guzar ke dekhtay hain
sitara aik abhi aasman pe baqi hai
kuch intezaar zara aur kar ke dekhtay hain
hum hi ko rakhna hai qaayam waqar is ghar ka
so chal ke naqsh-e-qadam par pidar key dekhtay hain
bas ek jhalak se to milta nahin nazar ko qaraar
jo dekhtay hain to phir aankh bhar key dekhtay hain…!!!
Re: Key Toot Kab ke chuke par ab bikhar kar dekhtay hain…!!!
^ Kis ko dekhtay hain ji aankh bhar kar aap … 
btw, ghazal ka last shair paish-e-khidmat hai …
Sukoon pa na sakay jab kisi tarah Neha
Tau ab yeh soch rahay hain ke mar ke dekhtay hain …
Nice contribution and thanks for sharing Lamhay …:k:
Lamhay
3
Re: Key Toot Kab ke chuke par ab bikhar kar dekhtay hain..........!!!!
ap ko kia lagta hai kis ko dekhtay hain ji bhar kay ?
thanks Amarbail ! ap ki tareef ka shukriya bahut bahut!