**Elahi teri mukhlooq ka ajab tumasha dekha.
chulakty jaam dekhy samundar ko piyasa dekha.
ye kiya maajira he apni to samujh main nahi aaya,
admi apni hi justajoo main ulajhta dekha.
jin k haath thy khaali wo musroof-e-zikr dekhy,
haathoN main liye tusbi waiz ko buthukta dekha.
Alhumd-u-Lillah ka mutlab to samujh main aaya,
Siraat-e-Mustaqeem par logo ko jhugarta dekha.
emaan bechty hoey Adam k bety dekhy,
Hawa ki beti ko sar-e-bazaar bikta dekha.
kesy dunya k makr o fareb se sumjhota kar lon,
k in ankhoN ny kitny julty diyoN ko bujhta dekha.**