** Door se dekha to kuchh dikha nahi…
Dooor se dekhaaa… to kuchh dikha nahi…
Paas jake dekhaa to kuchh tha hi nahi
**
Re: kese rukee gee ye muskurahatt
Khud ko kar buland itnaa....
Ke' Himaalay ki choti pe jaa pahunche....
aur khuda tumse puche....
'Abe gadhe... ab utrega kaise
Re: kese rukee gee ye muskurahatt
Mat pee sharab Galib masjid mein baith kar
Ek hi to botal hai, kisi ne chhin le, to ?
Re: kese rukee gee ye muskurahatt
Humne bhi pyar kiya tha jindgi main,
badi joshh ke sath !
Humne bhi pyar kiya tha jindgi main,
badi shhor ke sath !
Aab hum pyar karenge badi soch ke sath !
Kyon ki usey kal shamko dekha kisi aur ke sath
Re: kese rukee gee ye muskurahatt
Pani Main Aaks Dekh Kar Khush Ho Raha Tha Main
Pather Kisii Nay Mar Kar Manzar Badal Deaa
Re: kese rukee gee ye muskurahatt
Main Issii Fikar Main Raat Bhar Soeya Nahi
Changd Taro'n Ko Sooraj Nigal Jaye Ga
Re: kese rukee gee ye muskurahatt
Shehar Ki Bay Cheraga'n Galeo'n Main
Zindagii Tujh Ko Dhoondtii Hai Apnii
Re: kese rukee gee ye muskurahatt
wo bhee kia din the jab hum jin thay
ab hum deyo hain Jino k bhee peyo hain
Re: kese rukee gee ye muskurahatt
Ye baat samajh main aai nahi, Aur Ammi ney samjhai nahi
Main kaisay meethi baat karoon? Jab meethi cheeji khai nahi
Aapi bhi pakaati hain Halwa, Woh aakhir kiyon 'Halwaai' nahi?
Bhayya ki mangni ho gai kal, Kiyoon kal hi 'Dulhan' mangwaai nahi?
Ye baat samajh main aai nahi
Naani ke miyaan jab Nana hain, Dadi ke miyaan jab Dada hain......
Tab Aapi se main ne poocha ..Baaji ke miyaan kiya 'Baaja' hain?
Woh huns huns kar yoo kehnay lagi, A bhai nahi yeh bhai nahi
Ye baat samajh main aaai nahi
Jab naya maheena aata hay, Bijli ka bill aa jaata hay
Halaankey Baadal bechaara ye bijli mufft Lutata hay
Phir hum ne apnay ghar Bijli....Kiyoo Badal se lagwaai nahi?
Ye baat samajh main aai nahi
Gar Billi 'Shair' ki khala hay?...phir hum ne ussay kiyoon pala hay?
Kiya 'Shair' bohat nalaayak hay? Khala ko maar nikala hay?
Ya jungle ke Raja kay yahaan... kiya milti doodh malaai nahi?
Ye baat samajh main aai nahi
Kiyoon Lambay baal hain bhaalu ke ? Kiyoon uss ki tind karai nahi?
Kiya 'woh' bhi Ganda bacha hay?.. ya uss ke Abbu,bhai nahi?
Yeh uss ka 'Hair Style' hay?..... ya Jungle main koi Naai nahi?
Ye baat samajh main aai nahi,
Jo Taaray jagmag kartay hain, Kiya unn ki 'Chachi Taai' nahi?
Ho ga koi rishta sooraj se? ye baat humain batlaai nahi
Per Chanda kaisa mamoo hay? jab ammi ka woh 'bhai' nahi?
Ye baat samajh main aai nahi,
Ye baat samajh main aai nahi, Aur Ammi ne samjhaai nahi
Main kesay meethi baat karoon? jab meethi cheeji khai nahi
Re: kese rukee gee ye muskurahatt
Hazaaron larkiyaan aisi ke har larki pe dam niklay
bohat niklay haseen sarkon pe, lekin phir bhi kam niklay
Bharam khul jaye ga un sab ke qaamat ki daraazi ka
jo un ki "set-shuda" zulfon ka kuch bhi kham niklay
Mili aazaad nazmon ki tarah un ko bhi aazaadi
woh aazaadi ke jis ko dekh ker shaair ka dam niklay
Koii hai jo aa ke in sab ke address ham ko likhwa de
koii shaam aur ghar se jaib mein rakh ker qalam niklay
Gharon se woh nikal aayee hein "TaTa" keh ke parday ko
ke gar niklay to sab ushaaq ka sarkon pe dam niklay
Gaya ahed-e-kohun aur shaairon ki aaj ban aayee
jo "azraaye sitam" chaptay thay "az rah-e-karam" niklay
Chalay aaye idher ham bhi jawaani ka alam le ker
ke jin sarkon pe jeetay hein unheen sarkon pe dam niklay
Nikalna noukaron ka ghar se suntay aaye hein lekin
bohat be-aabroo ho ker teri kothii se ham niklay
Teray kuttay bhi saaray sheher mein itraatay phirtay hein
kabhi bhi teri kothii se nahin woh "sar-ba-kham" niklay
Kahan mae-khanay ka darwaaza Ghalib aur kahan Salma
per itna jaantay hein ham, woh aati thi ke ham niklay<!-- google_ad_section_end -->
Re: kese rukee gee ye muskurahatt
dosti karo college wali se,
piyar karo office wali se,
programme karo pados wali se,
aankh ladao sali se,
love karo dil wali se,
aur maar khao ghar wali se.
Re: kese rukee gee ye muskurahatt
Kehte hain ki ISHQ main neend ud jaati hai,
Koi humse bhi ishq kare
Khambhaqat neend bahut aati hai