Kehty Hain Usy Shehr Kay Sub Log Maseeha

Kehty Hain Usy Shehr Kay Sub Log Maseeha,
Wo Shakhs Mery Dard Se Anjaan Sa kyun Hai?

Be- adal He Hoti Rhi Yahan Pyar Ke Takseem,
Is Mulk Me Pyar Ka Fukdaan Sa kyun Hai?

Izhaar K Bawajood B Wo Mujhko Muyasar Nhi To Phir,
Seenay Me Us Se Pyar Ka Toofan Sa kyun Hai?

Jo Hum Se Koi Ta’alluk He Nhi Rakhna Chahta,
Us Shakhs Kay Lout Aanay Ka Imkaan Sa kyun Hai?

Mitti Ka Bana Hai To Ghul kyun Nhi Jata?
Pathar Ka Agar Hai To Phir Insaan Sa kyun Hai…?

Re: Kehty Hain Usy Shehr Kay Sub Log Maseeha

Izhaar K Bawajood B Wo Mujhko Muyasar Nhi To Phir,
**Seenay Me Us Se Pyar Ka Toofan Sa kyun Hai?

matlab inkaar ho gaya :(
**

Re: Kehty Hain Usy Shehr Kay Sub Log Maseeha

Bohat Umdah Sharing.......

Mitti Ka Bana Hai To Ghul kyun Nhi Jata?
Pathar Ka Agar Hai To Phir Insaan Sa kyun Hai...?

Re: Kehty Hain Usy Shehr Kay Sub Log Maseeha

Kehty Hain Usy Shehr Kay Sub Log Maseeha,
Wo Shakhs Mery Dard Se Anjaan Sa kyun Hai?

Be- adal He Hoti Rhi Yahan Pyar Ke Takseem,
**Is Mulk Me Pyar Ka Fukdaan Sa kyun Hai?

Lajawab ghazal:lajawab:
**

Re: Kehty Hain Usy Shehr Kay Sub Log Maseeha

awesome, unlce ka mere sath reh reh ker taste acha ho giya hai ... :D

Thank you