~ Kehtay thay ek pal na jeyenge tere bagair ~

Duniya ka kuch bura bhi tamaashaa nahee raha Dil chahta thaa jis tarha waisa nahee raha

Un se mile bhi hum tu judai ke mor par
Kashti huwi naseeb tu dariya nahee raha
**
Kehtay thay ek pal na jeyenge tere bagair
Hum donoo reh gaye hain woh wada nahee raha**

Kaate hain is tarha se tere baad shab-o-roz
Mein saans le raha thaa per zinda nahee raha

Aankhein bhi dekh dekh ke khwab aa gaee hain tang
Dil mein bhi ab woh shauk woh lapka nahee raha…

:teary1:

boht achay ..:k:

very nice :k: