apney anaa ke khudaa ko manaaney ki khaatiR
wo khafaa ho gaya mujhey sataaney ki khaatiR
meiN ney kaha waqt ki thokar sey bachna zaraa
kehneY laga tum na aana mujhey uthaney ki khaatiR
meiN ney kaha mujh sey bichaR kaR tum kesey jiyo ge!
kehne laga meiN jeeyuN ga ab zamaaney ki khaatiR
meiN ney kaha dooR jaa kaR gaR tanhaa ho gae to!
kehne laga tum na aana mujehy behlaaney ki khaatiR
meiN ney kaha waapsi ke daR khuley rehney dena
kehneY laga kon jaata hey laot aaney ki khaatiR!
meiN ney kaha phir bhi chaaho to palat aana tum
kehney laga nahi aaooN ga tumhey paaney ki khaatiR
magar mila barsoN ke baad to kitna haNsna paRaa
usey palkoN pe rukey ashq chupaaney ki khaatiR
Re: kehneY laga kon jaata hey laot aaney ki khaatiR!
*Originally posted by NikamiJano: *

veryyyyy nice :k:
Azam_1
October 28, 2002, 6:10am
5
bohot khoob masha Allah zabardast nazm hey :k:
is par mujhey bhi filbadi kuch kehnay ka dil chah raha he ..
arz kiya hey …
main ney kaha .. tum GS par kiyon aatey ho ..
kehnay laga .. acha waqt guzarney ki khaatiR ..
main ney kaha .. kal kiya khaya tha ..
kehnay laga .. tarbooz .. garmi se jaan churaney ki khaaTiR ..
main ney kaha .. kiya kar rahey hoo aaj kal ..
kehney laga .. Chokidaari .. sabki securtiy ki khaatiR ..
main ney kaha .. tumhara telephone number kiya hey ..
kehney laga .. phone katwa diya .. bill bachaney ki khaatiR ..
main ney kaha .. tum pagal hoo kia ?
kehnay laga .. pagal bana hoon.. dosroon ko pagal bananey ki khaatiR..
main ney kaha .. tum bolety bohot hoo ..
kehney laga .. bolta hoon .. dil ka haal sunaney ki khaatiR ..
main ney kaha .. aaj shaam mere ghar aa jana ..
kehney laga .. kiyon? .. tumharey bhaiyoon sey pittney ki khaatiR ..
main ney kaha .. tum har waqt daant kiyon dikhatey rehtey hoo ..
kehney laga .. hansta hoon .. dosroon ko hansaney ki khaatiR ..
main ney kaha .. tumhari shaadi kab hoo rahi hey ..
kehney laga .. kiyon poochti ho .. mera gee jalaney ki khaatiR ..
PS: btw, yea tum dono apas main kis qism ki batain kartey rehty hoo ??
Amal
October 28, 2002, 10:49am
6
Re: kehneY laga kon jaata hey laot aaney ki khaatiR!
*Originally posted by NikamiJano: *
apney anaa ke khudaa ko manaaney ki khaatiR
wo khafaa ho gaya mujhey sataaney ki khaatiR
meiN ney kaha dooR jaa kaR gaR tanhaa ho gae to!
kehne laga tum na aana mujehy behlaaney ki khaatiR
meiN ney kaha waapsi ke daR khuley rehney dena
kehneY laga kon jaata hey laot aaney ki khaatiR!
magar mila barsoN ke baad to kitna haNsna paRaa
usey palkoN pe rukey ashq chupaaney ki khaatiR
bas theek hi hey ;):k:
Nice :)
Buhat observe hotee hain aap nikii...mashhooree mubarak :)
magar mila barsoN ke baad to kitna haNsna paRaa
usey palkoN pe rukey ashq chupaaney ki khaatiR
Nikamiiiiiiiiiii bajee :k: nice
Like Always :k:
but u see yeh keya hova?
*Originally posted by Masoom Muskaan : *
magar mila barsoN ke baad to kitna haNsna paRaa
usey palkoN pe rukey ashq chupaaney ki khaatiR
Nikamiiiiiiiiiii bajee :k: nice
Masoom Muskaan ko itna rulla deya
Masoom hai to roye gee to sahee…woh aap kee tarah abhee kuch bhollee bisree naheen hai na
Re: kehneY laga kon jaata hey laot aaney ki khaatiR!
NJ sis very Nice
masoom buhat Aansoo Zaaya ho gaey
ET & capri meri masoom sister ko tang nahin KaraiN
Protesting…Mein ne kia kiya masoom ko? Ilzaam.com
Pardon me, i did’t know aap bhii itni jaldi Rona shuru kar detay haiN
[QUOTE]
*Originally posted by GuL-e-Tasbeeh: *
Pardon me, i did't know aap bhii itni jaldi Rona shuru kar detay haiN :-P
[/QUOTE]
self defence ;) pardon granted :) jaein kia yaad karein gee aap bhee :)
[QUOTE]
*Originally posted by Capricorn: *
self defence ;) pardon granted :) jaein kia yaad karein gee aap bhee :)
[/QUOTE]
yaad karnay waali aesi koi baat nahiN jo aap nay kahi ho:p
well, Jazakomullah ......Pardon granted
hain hain yahan kia ho raha kuch dair k leay hum gair hazir thay aur Capo and G-e-Tea...........hmmmm itna shor uffff......ok me a gaiey ab :)
thanks any ways G-e-Tea and capo.....
thanks nikii u always … …4 U…
Re: Re: kehneY laga kon jaata hey laot aaney ki khaatiR!
thanks chando g… 4 U
*Originally posted by Azam#1: *
bohot khoob masha Allah zabardast nazm hey :k:
is par mujhey bhi filbadi kuch kehnay ka dil chah raha he ..
arz kiya hey …
main ney kaha .. tum GS par kiyon aatey ho ..
kehnay laga .. Nikami ka ph # poochany ki khatiR.
main ney kaha .. tumhara telephone number kiya hey ..
ye mu aur masoor ki daal me aur ph # day :hehe
main ney kaha .. tum bolety bohot hoo ..
ye tu lagta hia us ne hamarey dil ki baat kah de
main ney kaha .. aaj shaam mere ghar aa jana ..
billi ko??? k khawab
kaha us ne .. tumhari shaadi kab hoo rahi hey ..
kaha maiN ne k me tu already hoon 4 bachooN wali
PS: btw, yea tum dono apas main kis qism ki batain kartey rehty hoo ??
shukria Azam.. wo be zabardast kisam ka jesi zabar10 nazam hai wesa he thanks…
PS: btw,Azam dekho jo batien be kartey hian hum yehi kartey hain PM main nahi jatey ;)…