keh do tumhain abb bhi Muhabat hay
Keh do tumhain abb bhi
Intezaar rehta hay
Chandni raaton ka
jhola jholti bhari bharsaton ka
keh do tumhain abb bhi Muhabat hay
Keh do tumhain abb bhi
Dhonddti rehti hain
nigahain meri
Tanha shamon main
Sanbhalay rehti hain
yadain meri
keh do tumhain abb bhi Muhabat hay
Keh do tumhain abb bhi
Hawa betaab ati hay
zulfain choonay
phool beqaraar rehtay hain
labon ko choomnay
keh do tumhain abb bhi Muhabat hay
Keh do tumhain abb bhi
Sunsaan rahain batati hain
mera pata
Ab bhi teray haat kanptay hain
bujatay dia
Keh do …
tumhain abb bhi … Muhabat hay
keh do tumhain abb bhi Muhabat hay
Keh do tumhain abb bhi
Sunsaan rahain batati hain
mera pata
Ab bhi teray haat kanptay hain
bujatay dia
Keh do …
tumhain abb bhi … Muhabat hay