Keh do ab yaad sey apni zara aaraam se aa!!

keh do ab yaad sey apni zara aaraam sey aa
aur furqat sey na ab kaash intiqaam sey aa

ho na ruswai teri meri aqeedat sey sanam
gar che aana hai to aadat meri gumnaam sey aa

kyoon churaata hai too nazrain tishna main kub se khara
peeney waala naheen mudhosh bhare jam sey aa

hijar ki raat tawaalat ki hai mashhoor bohat
dard se mujh ko bachaa ley too sar-e-shaam sey aa

guzarey saalon ke woh gul pheekey hameesha they zara
ab baharan tujhey aana hai to us naam sey aa

ishq kay haj main ibaadat zara aashiq kar le
usko aik baar ye keh dey “abhi ihraam sey aa”

log aate hain meri qabar pey rakh jaain woh phool
tujh ko aana hai to aa jaa par ihteraam sey aa

phir ye bekaari-o-ghaflat pey tula baittha hai
dil lagaana bhi to aik kaam hai us kaam sey aa

ghar banaa ley tu hameesha ka na ho aarzee phir
ab utar ja tu meray dil main ihtimaam sey aa

kya mila mujh ko lagaane ka ye dil tujh sey haseen?
Ehad-o-paimaan ko kar poora tu in’aam sey aa

qaida koi naheen us ki tu shorash main Lamhay
keh dey “dil torney aaya tu intizaam sey aa” !!!

Re: Keh do ab yaad sey apni zara aaraam se aa!!

[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *
keh do ab yaad sey apni zara aaraam sey aa
aur furqat sey na ab kaash intiqaam sey aa

ho na ruswai teri meri aqeedat sey sanam
gar che aana hai to aadat meri gumnaam sey aa

kyoon churaata hai too nazrain tishna main kub se khara
peeney waala naheen mudhosh bhare jam sey aa

hijar ki raat tawaalat ki hai mashhoor bohat
dard se mujh ko bachaa ley too sar-e-shaam sey aa

guzarey saalon ke woh gul pheekey hameesha they zara
ab baharan tujhey aana hai to us naam sey aa

ishq kay haj main ibaadat zara aashiq kar le
usko aik baar ye keh dey "abhi ihraam sey aa"

log aate hain meri qabar pey rakh jaain woh phool
tujh ko aana hai to aa jaa par ihteraam sey aa

phir ye bekaari-o-ghaflat pey tula baittha hai
dil lagaana bhi to aik kaam hai us kaam sey aa

ghar banaa ley tu hameesha ka na ho aarzee phir
ab utar ja tu meray dil main ihtimaam sey aa

kya mila mujh ko lagaane ka ye dil tujh sey haseen?
Ehad-o-paimaan ko kar poora tu in'aam sey aa

qaida koi naheen us ki tu shorash main Lamhay
keh dey "dil torney aaya tu intizaam sey aa" !!!!
[/QUOTE]

**
Lamhay jee this is the best posting i have ever seen... great i have no words to say anything.... **

wow very nice

wah wah bohat kohb kaha

keh do ab yaad sey apni zara aaraam sey aa
aur furqat sey na ab kaash intiqaam sey aa

good choice

bohat kohb

Re: Keh do ab yaad sey apni zara aaraam se aa!!

Excellent :k: bhai aap to chupay rustum niklay .. thanks for sharing

waisay aik baat bata’tay chalain, hum Azad hain apni marzi say aain gay our apni marzi say jain gay .. chahay aap kuch bhi kaho :slight_smile:

Such a feminine thought … :confused:

Nice1 :k:

:k: bohat achi hai :slight_smile:

bohat khoob, really beautiful :k:

:k::k::k::k::k:
each sher is perfect

Re: Re: Keh do ab yaad sey apni zara aaraam se aa!!

:jhanda:

o dilsay ji main is kabil kahan !!
per nawazish hai aap ki kay aap nay pasand kia aur bahut zayeda pasand kiya warna aisi daad kahan naseeb hoo har aik ki kismaat main!

[QUOTE]
*Originally posted by Pyara sa doost: *
wow very nice

wah wah bohat kohb kaha

keh do ab yaad sey apni zara aaraam sey aa
aur furqat sey na ab kaash intiqaam sey aa

good choice

bohat kohb
[/QUOTE]

thanks doost ji shukriyaa aap ka !!

Re: Re: Keh do ab yaad sey apni zara aaraam se aa!!

bhai?? bhai nahin behen :wink:

ji malooom hain aap azad panchi hain yahan tu sab hi azaadi pasand kartay hain !

Shukriya chandoo , vivacious and Heart hacker sweeto!

ghazal thanks for the appreciation sweetoo!!!

Beautiful :k:

Masha Allah bohot hi khoob :k: :k:

Flooding karney ke saath saath aap to likhti bhi bohot acha hain :wink:

Re: Re: Re: Keh do ab yaad sey apni zara aaraam se aa!!

[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *

bhai?? bhai nahin behen ;)

ji malooom hain aap azad panchi hain yahan tu sab hi ** azaadi pasand kartay hain **!
[/QUOTE]

maghar Azad nahi hain

shukriya capricorn ji !!

lolzz acha ji meharbani aap ki !!