Mujhey uss se ye Kehna tha
Ke Mujh ko yaad mat karna
Tadap ke tum juddai mai
ye Dil mat barbad karna
Tum honton pe hansi koi
Kaheen se qaed kar lena
Jo mujh se duur bhi ho jao
usse azad mat karna
Jo ham ko jina hi tthehra
kisi bhi tour jii len ge
Magar tum ab zindagi se
koi fariyad mat karna
magar ye sab jo kehna tha
ye uss se kab kaha main ne
Tumhare bin nahi jina
bas itna keh diya main ne