...keh asmaaN kyo nahin phaTta

bharti hai zameeN aaheiN hazaar, ke asmaaN kyo nahi phaTta
tere Musalmaan bhair bakrio ki tarha zaba honey lagay, keh asmaaN kyuN nahin phaTta

ageya hai waqt e azmaish phir se, magar woh Kaleem kahaN woh zarb e kaleem kahaN
Phiraun hoa hai phir se Zaalim, ke aasmaaN kyuN nahiN phaTta

Ae Ilahi wo sabit qalbi dey, woh sabit qadmi de…
Sumayyah o Yasir ka phir se honey laga shikaar, ke asmaaN kyuN nahiN phaTta

Hoa hai qabiz phir se PhirauN o Namrood o Jaloot
tere bando pe hoi hai dunya phir se tang, ke asmaaN kyuN nahin phaTta

dekh raha hai tu jin ka tu tamasha chup chaap ooper se
yeh tere Mehboob ki Ummat hai jo zabah ho rehi hai…

keh AsmaaN kyuN nahiN phaTta
keh AsmaaN kyuN nahiN phaTta

Re: ...keh asmaaN kyo nahin phaTta

Tu kia koi mua'jiza na hu ga....

Re: ...keh asmaaN kyo nahin phaTta

bohut khoob!