**Keemiya-2 **
Kal kaanoN maiN meray keh gayi chupkay say taareekh
Har baghawat aghaaz-e-naubaghawat hai
Kal ho jaingay jab purany is baghwat kay maseeha
Kal aa jayga jab in usooloN ko har haal maiN zinda rakhnay ka fitoor
PaighMbar-e-baghawat ka har ahud
TaNgi-e-nazar-aadmi kay sabub badal jaiga
Tab
Tegh-e-zulm kay neechay
Deemagh-e-aadmi maiN nayee baghawataiN janam laiNgi
BaghawataiN aayeeN kitni fikr-e-insaaN wahiN qayum
Koi samjhay na itna sa kyuN kar
Ki daur-e-waqt mornay say kuch nahi hota
Fitrat-e-insaaN samajhna zaruri hai
Yeh janoon-e-baNdagi-e-ahud-e-mustar
Hai bus zulm-o-wehshat ki fitrat
SamuNdar-e-farda kay haiN abhi maqaam kitnay
Har din hai naya har raat nayee
Mauj-e-insaaN ko koi qafus kya rokay
Ilm-o-aazaadi libaas iskay
Ishq-o-dard ahsaas iskay.
Meaning:
taareekh-History, aghaaz-e-naubaghawat -start of new revolution,
Tegh-e-zulm kay neechay–under the sword of zulm,
janoon-e-baNdagi-e-ahud-e-mustar-Beet chukay kal ko poojnay ka janoon
SamuNdar-e-farda -ocean of future, Mauj-e-insaaN–(wave like of humanbeing