Palat ke daikhna chaho to nafraton say udhar
dinon ki raakh pe, raaton ki yakh hathaili per
hawa ke naachtay girdaab ki tahoon main kahin
bujha huwa koi lamha, kisi chiragh ka dagh
nazar pade to samajhna ke main bhi zinda hoon
ke main bhi zinda hoon apnay ujar dil ki tarah
ujar dil ke jahan aaj bhi tumharay baghair
har aik shaam dhadhaktay hain khwahishon ke kwarr
har aik raat bikherti hai aarzoo ki dhanak
har aik subah dehaktay hain zakhm zakhm gulaab
ujar dil ke jahan aaj bhi tumharay baghair !
har aik pal meri aankhon main dhul ke dhalta hai
tapakti rut ki tapish say badan pighalta hai
ujar dil ke jahan doobta huwa suraj
jabeen-e-waqt pe likhta hai dooriyon ka payam
palat ke daikhna chaho to nafraton say udhar
pas-e-ghubaar darakhshaan hai kab se aik hi naam
wo naam jis pe musalsal hai aitmaad mujhay
wo naam , loh-e-jahan pe ubhar ke bolta naam
nazar pade to samajhna ke tum ho yaad “mujhay”

nazar pade to samajhna ke tum ho yaad "mujhay"